Thursday, May 12, 2016

Facebook Video Ko Auto Play Hone Se Kaise Roke (Stop Autoplay in Facebook Video hindi me)

Facebook ne Facebook Video nam se new feature launch kiya hai jiska defult mode auto play hai. Facebook jo ki duniya ka sabse mashoor socail networking platform ban chuka hai phir bhi internet usersr ko apni aur attract karne ke liye naye naye features launch kar raha hai. Facebook Video ke auto play feature ki wajah se hum logon ko kai dikkato ka samna bhi karna pad raha hai jaise

  • Facebook me Hum Jin Video ko nahi bhi dekhna chahte hai wo bhi apne aap shuru ho jaate hain
  • Video ke autoplay hone ke wajah se humara data plan waste ho raha hai
  • Video type ki media ka size jyada hone ke wajah se humara mobile aur ya system hand hone lagta hai
Agar aap bhi inme se kisi parshanai ka samna kar rahe hai to aaiye jante hai ki Facebook me Video Ko auto Play Hone Se Kaise Roke aur iski sttings kya kya hai

Facebook Video Ko Computer me Auto Play Hone Se Kaise Roke

Facebook Video, stop Auto Play, help me in hindi,
  1. Sabse pahle apne id & password ke sath Fcebook mein login karein
  2. Top right corner (sabse upar sidhe haant ki taraf) down arrow ka button par left click karein
  3. Ek pop-up box mein niche ki taraf ek Settings option aayega Is par left click karein. 
  4. Naye  open hue page par scroll karke niche ki taraf Videos option Dhoonde aur us par left click karein. 
  5. Phir se ek Naya page open ho jaayega isme Auto-Play Videos. ke samne button left click karnepar off ka option aayega to off ko select kar lijiyega
Facebook Video, stop autoplay, Disable, help me in hindi, kaise karein

Facebook Video Ko Mobile me Auto Play Hone Se Kaise Roke

Agar aap facebook use karte hai to ya to aap ise apne android mobile me, ya Apple iPhone par ya to Computer par use karte honge to to aapko aapke device par auto play band karne ke liye device ke anusar neeche di gayi settings ke hinsab se change kare

Android phone par kya Settings karein :

  1. Facebook app ko open kijiye. Page ke right side par menu ki jagah par 3 aarhi line hongi in par tap kijiye.
  2. Nai open hui window ko scroll kar niche aajaayiye aur settings option par tap kijiye.
  3. Video Auto-play option par tap karein aur phir disable option ko select karein
Facebook Video, stop autoplay, Disable, help me in hindi, kaise karein

Apple iPhone par kya Settings karein :

  1. Apple iPhone par facebook app open karein. 
  2. 3 aarhi line jaise menu button ke pass more likha hoga is par tap karen
  3. Is naye box me niche ki taraf Settings option par tap karein
  4.  Ab is nayi window me Videos option par tap karein. 
  5. Phir ek nayi window jisme Video settings option hoga, aur iske just niche Auto-play option ke samne off par select karen. 

Kewal Wi-Fi network par Facebook use karte samay hi videos Auto play option me chalein: 

Agar aap alag alag jagah par aalag madhyam se internet data use karte hai jaise ki ghar ke bahar hone par mobile data aur ghar ya office ya public wi-fi ke aas pas hone par hi speed wi-fi network ka use karte hai to aap facebook autoplay video option kar use karna change to aage yah settings apply karein :

Apple iphone ya ipad ke liye setting 

  1. setting option mein jayen aur screen ko scroll down karke facebook option par tap karein. 
  2. Ab facebook me settings option par tap kar Photo and video option me jaayein
  3. Ab Auto-play videos on Wifi only option ko select karein.

Android phone users kya settings karein

  1. Sabse pahle facebook app par jayen. 
  2. Phir Menu key se setting option par jaayen.
  3. aakhiri me Auto-play videos on Wifi option only ko select karein